Posts

Showing posts with the label SUNNAT SE ILAJ

SUNNAT SE ILAJ

Image
• Surah Falaq Aur Surah Naas • Ajwa Khajoor • Shahed • Zaitoon Ka Tel • Kalonji • Hijama • Zam Zam Ka Pani • Talbina • Surah Fatiha • Ruqayah Surah Falaq Aur Surah Naas Hazrat Aisha ne bayan kiya ke Rasool Allah ﷺ jab beemar padte the to mu'awwidat ki suratein (surah falaq aur surah naas) padh kar use apne uper dam karte (apne uper pad kar phunkna) Phir jab (marz al maut me) Aap ﷺ ki takleef badh gayi to mai un suraton ko padh kar Aap ke hathon ko barkat ki umeed me Aap ke jism par pherti thi (Sahih bukhari-5016) Ajwa Khajoor Rasool Allah ﷺ ne farmaya jo shaks subah ke waqt 7 ajwa khajooren kha lein usey us din na zeher nuksan pohuncha sakega aur na jadu (Sahih bukhari-5779) Shahed Rasool Allah ﷺ ne farmaya agar tumhari dawaiyon mein koi bhalai hai to shahed ke sharbat me hai (Sahih bukhari-5702) Zaitoon Ka Tel Rasool Allah ﷺ ne farmaya zaitoon ka tel ba'taur salan istemal karo aur usko apne sar aur badan mein lagao isliye ke ye mubarak darakht se nikalta hai  (Ibn ...